Har aahat uske aane ka ehsaas karti hai..
Har lamha uske pass hone ka ehsaas karata hai.
Har waqt ussi ka intezaar rehta hai
Har lamha usi ki yaad me guzar jaata hai
Har aawaz uske pass hone ka ehsaas karati hai...
Har aahat uske aane ka ehsaas karati hai.....
Har shaam vahi nazar aati hai
Har roz ussi ki yaad aati hai
Dil chahata hai uske ghar paunch jau
Par ye chahat puri hue bina hi chali jaati hai
Dil chahata hai phone on kar usse baat kar lu
Par ae dost aksar ye khyal adhura sa reh jata hai....
Har aahat uske aane ka ehsaas kara jaati hai.....
Raat ko uski tasveer thik se nazar nahi aati hai
Har raat uske deedar bina hi guzar jaati hai
Subah aankh kholu to uski surat bhi nazar na aaye
Ek din wo mje milege zaroor. .
Isi aas me har shaam guzar jaya krte hai......
Har din uski surat dekhne ki aazmaaish krte hai...
Har waqt usi ki dil ki dharkane sunaai deti hai
Ye kesi kashmakash he ae dost
Dur hote hue bhi har dam wo pass hone ka ehsaas kara jaati hai.....